
Kalyug Ki Naari Lyrics
Suno kahani saath mere
Kalyug ki iss naari ki
Dikhave ki is duniya mein
Parwah ise dikhave ki
Jhoothi duniya mein uljhi
Asliyat se door gayi
Aadhunik duniya ki naari
Sanskriti hi bhool gayi
He kalyug ki nari
Tum kaise itna badal gayi
Kaise itna badal gayi
Kaise itna badal gayi
Kya ho raha hai aas paas
Aur kaisi duniya saari hai
Nashe patte mein lipat baithi
Kaisi aaj ki naari hai
Aadhunik duniya ki naari
Soche sab par bhaari hai
Par asal mein ye soche to
Ye naari ki lachari hai
Kai baar hota hai prem inhe
Kai baar toot fir jaata hai
Apno ka rishta chhod ke
Rishta gairon ka kyun bhaata hai
Kuch naari hai jo aajkal
Chhote vastron mein aati hai
Lokpriya banne ko
Vastro se ang dikhati hai
Ab aisi naari hoti hai
Jo maryada na rakhti hai
Padhne likhne ke naam par
Chal gharwalo se karti hai
Kartavyaon ko jo bhool ke baithi,
Kumarg par jaati hai
Kam umar ki ladkiyan
Bachpan mein ishq ladati hai
Sambandh banati kai baar
Sanskriti se bhi door gayi
Jo gehna hoti stree ka
Wo laaj sharam bhi bhool gayi
Bhool gayi wo maryada,
Jo ek stree mein hoti hai,
Maat pita ko dukh deke,
Kisi gair ke khaatir roti hai
Ye jaane na, pehchaane na
Insaan ke rang roop ko,
Prem karti unko,
Jinko keval tan ki bhook ho
Mann se kisko prem hai
Aur tan ki kisko aasha
Kaun karta hai prem inhe
Aur kaun kare chhalawa
Sahi galat mein antar bhi
Ab naari ko hai gyaat nahi
Jaise pehle hoti thi,
Ab naari mein wo baat nahi
Nashe mein doobi rehne wali
Mehkhano mein rehti hai
Dikhave ki is duniya mein
Dikhave mein hi jeeti hai
Sanskriti se koi kaam nahi
Ye soche aaj ki naari
Gaurav hota inko,
Jaise chhote kapdon mein azaadi
Kyun badal gaya ye waqt,
Kaise badal gaye log
Chhote hue kapde
Ya phir chhoti hui soch
Naye zamane wali maa
Deti bachon par dhyan nahi
Aparadh ko jo rok sake
Deti aise sanskar nahi
Ye aisi naari hai
Jisko parivaar ki hi na chinta hai
Are kaisi naari hai
Jisme naaritva hi na dikhta hai
Haan, naari to wo jo hoti thi
Jo kaal ko bhi maat de
Apne swami ke khaatir
Wo jo rajpaat bhi tyaag de
Dandwat pranam hai mera
Us vikal si naari ko
Khoob ladi mardani wo
Us Jhansi wali rani ko
Wo utre jab maidan mein
To khoon ki nadia behti thi
Aur kya hi himmat hogi
Us Rani mein jo ye kehti thi
Ke praan bhale hi jaaye mere
Par daaman par na daag lage
Meri deh ki ichha rakhne waale
Jin ke haath, meri na raakh lage
Wo rani padmini thi
Jisne agni mein snaan kiya
Apne pati ke darje par
Na dooje ko sthaan diya
Wo ek sati savitri
Jisne Yam se kheenche praan
Ek aaj ki naari, jo le jaati yam ke dwaar
He Kalyug ki naari, tum astitva kaise bhool gayi
Purkhon ki maryada se, tum kaise itna door gayi
Kyun bhool gayi wo sanskar
Jisme jeene mein maan ho
Kyun bhool gayi shringar
Jisme haath mein na talwar ho
He meri mata behno,
Tum sanskriti ke ab saath chalo
Swayam ko pehchano
Jijabai jaisi maat bano
Are wo bhi naari hi thi
Jisne Chhatrapati tayyar kiya
Wo haadi walir rani
Jisne sheesh thal mein saja diya
Wo Pannadhay, jo rajhit mein
Putra ka balidaan diya
Naari bano waisi
Jisne Maharana Pratap bana diya
Kyun lagi ho nashe mein tum
Kyun kacche waale prem karo
Tum prem yadi karna chaho
To maat sati sa prem karo
Karm yadi karna chaho,
To seeta maa sa karm karo
Jo saath rahe van mein bhi,
Aise dharm sa satkarm karo
He naari, badlo khud ko
Tum sanskriti ki bhi laaj rakho
Sansar tumhare haathon mein
Ab maryada ka maan rakh
Prem ka swaroop ho tum
Vishv jagat ki janani ho
Ardhangini kehlane wali
Tum hi jeevan sangini ho
Meri mansha antim baat se
Kuch sikh tumhe sikhane ki
Namatmastak hai yachna
Jara socho ise nibhaane ki
Gair mard ko he naari
Na socho mitra banane ki
Pati ki baatein taal kar
Na maano seekh zamane ki
Are gaya dwapar jab
Draupadi ke sakha krishna hote the
Ye kalyug hai mata behno
Yahan mard sakha na hote hai.
Kalyug Ki Naari Credits
Title – Kalyug Ki Naari
Singer – Lucke
Music – Lucke
Lyrics – Lucke
Lable – Lucke
LyricsMini FAQs
Who are the singers of the song “Kalyug Ki Naari”?
- The song is sung by Lucke.
Who composed the music for “Kalyug Ki Naari”?
- The music for the song is composed by Lucke.
Who wrote the lyrics for “Kalyug Ki Naari”?
- The lyrics are written by Lucke.
Which record label released “Kalyug Ki Naari”?
- The song was released under Lucke.
“Kalyug Ki Naari” Song Exploration
Kalyug Ki Naari Lyrics is a bold and thought-provoking track that takes a deep dive into the complexities of modern-day society. Sung by Lucke, with a special feature from Priya, this song presents a powerful message about the role and struggles of women in today’s world. “Kalyug Ki Naari Lyrics” The lyrics and music, both crafted by Lucke, create an intense and emotionally charged atmosphere that speaks directly to the challenges faced by women in the age of Kalyug. The track not only entertains but also serves as a social commentary, urging listeners to reflect on the evolving norms and values of the times “Kalyug Ki Naari Lyrics”.